Remembrance – Reconnecting to Allah swt

These are some highlights of the beautiful talk delivered by Hazrat Shaykh Zulfiqar Ahmed [db] on October 10, 2010.

kitni taskeen hai wabasta terai naam ke sath

neend kantoo pe bhi ajati hai aram ke sath

Quran mai zikr ki ehmiyat:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آَمَنُوا اذْكُرُوا اللَّهَ ذِكْرًا كَثِيرًا

[33:41] Ae iman waloo Allah Ta’ala ka zikr kasrat ke sath kero

الَّذِينَ يَذْكُرُونَ اللَّهَ قِيَامًا وَقُعُودًا وَعَلَى جُنُوبِهِمْ

[3:191] jo kherai, baithe aur laite hur haal mai Allah ko yaad kertai

فَاذْكُرُونِي أَذْكُرْكُمْ

[2:152] merai bundoo tum mujhe yaad keroo mai tumhai yaad keroonga.

Momin ka hathyar hai zikr…hifazat kerta hai iman ki…zikr kai zariye sai insan shaitan ke humlai se bach jata hai….Allah nai masjidein banayee taake ismai Allah ka zikr hosakai…namaz se pehlai bhi zikr ka hukm,namaz ke dermiyan Allah ki yaad  ka hukm..namaz mai yaad nahi tou namaz nahi….namaz ke baad zikr.

Q: shaitan insan ko pehlai zikr se rokta hai aur namaz sai

Hajj se pehlai zikr ka hum, dermayaan aur phir baad mai. dawat deen kai kaam mai Hazrat Moosa A.S ko bhi kaha ke dawat se pehlai, dorun aur akhir mai zikr kero.

ilm bhi hasil kerna hai tou Allah nai kaha ehl e zikr se hasil kero….ghafileen ke baat na kero.

Q: jo bhi cheez hai Allah ki tasbih kerti hai kainat mai laikin hum usko nahi samajhtai

Q:bari berkat wala nam hai terai Rubb ka naam…(jo Allah ka naam kasrat se kerta hai uski zindagi mai berkatein.)

Hadis mai Zikr ka ehmiyat:

H: zakat,Hajj,sadqa,….dainai waloo mai unka ajr zyada jo zikr kertai hain…zikr kernai walai ke amal ka sabse zyada ajr hota hai.

H: ghafileen ke dermiyaan jo baithker Allah ko yaad kerai uski misaal aise hai ke jahad ke maidan se aik bhaag jai aur doosra istaqamat se lurr raha hai, hur taraf andhera ho laikin jaise charagh hota hai, Allah ghafiloo mai baithker zikr kernai waloo ko mernai se pehlai jannat dikha daitai hain.

H: hur cheez ki polish hai aur dil ki polish zikr hai.

H:azaab se bachane wala amal zikr hai

H Allah zikr kernai waloo kai sath hota hai

H: jo shaks na tahajjud parh sakta hai,na sadqa ker sakta ho na jihad kersakta hai usko chahiye zyada zikr kerai wo usko compensate ker daita hai.

duniya mai log narm bister per Allah ka zikr kerainge Akhirat mai Allah unko jannat mai dakhil ker dainge

zikr kernai waloo ke surr se Allah gunahoo ka bojh utha lainge

H: qayamat ke din Allah baaz logo ko aise uthae gai unke chehrai pe noor hoga, motiyon pe baithainge…ye wo log hongai jo mukhtalif Shehroo aur qabeelon se Allah ke zikr ke liye milainge.

H: Ae habib SAW apki ummat ke ye woh log hain jinki wajah se Allah farishtoon ke samne un bundoo per fakhr hermatai hain. (Sirf Allah ka zikr kernai walai)

H: qayamat ke din 7 logo ko arsh ka saya…saatwan: jo tanhai mai baithker Allah ko yaad kerai hata ke uskai ansoo nikal aein

H: zubaan hur waqt Allah ke zikr se num rehni chahiye

H: zikr ki kasrat kernai wala nifaq se bari hojata hai

H: jo shaks fajr ki namaz se suraj tulu honai tuk Allah ka zikr kerai Allah usper jannat wajib fermadaitai hain.

H: zakir zinda ki manand hai ghafil murda ki manand hain

H: safaid kapra (saaf kapra) Allah ka zikr kerta hai

H: zikr e Allah poori qainat ki baqa ki waja hai

H: tub tuk qayamat nahi qaim hosakti jab tuk Allah ka naam liya ja raha hai

(make this Dua: Ae Allah merai dil mai waswasai atai hain inko apni yaad aur khashiyat ka zariya bana dein)

Nabi SAW hur haal mai Allah SWT ko yaad kertai thai

Ehlullah ki nazer mai ehmiyat e zikr:

jo shaks Allah ko yaad keraiga Allah usko yaad kerainge aur jo ghafil hongai Allah unko apna aap  bhula dainge

jo Allah se mulaqat ko mehboob rakhtai hain Allah unse mulaqat ko mehboob rakhtai hain

zikr ikhlaas paida kerta hai

Zakir  ko, zikr, Allah ke siwa hur kisi sai ghafil ker daita hai….ikhlas amal ke baad ajaeiga…amal dhancha hai…amal kertai raho aur Allah se mangtai rahoo

zikr e elahi se farshi arshi bunjata hai(yani insan farsh pai Allah ka zikr kerai Allah usse Arsh pai yaad kerain)

jin logo ko dekh ker Allah yaad ajai ye Allah ke yaad ki barkat hoti hai

Hum Allah ka zikr kasrat se kaise kerain?

  1. wuqoof e qalbi
  2. learn masnoon duas and recite in abundance…jitna zyada parhegai utna Allah ka zyada zikr hoga

insan jab kabr mai jaiga tou kabr ki wehshat ko dur kernai  wali koi cheez nahi elawa zikr

jo Allah ka zikr kerta hai usse usmai maza ata hai…mithaas hoti hai

Allah ke zikr se wo lazzat milti hai jo kissi aur cheez mai nahi milti

zikr kasrat se kernai ka aik faida ye hota hai ke dil Allah se milne ko chahe ga

Hazrat Gangohi(Rahimullah): “jis shaks nai poori zindagi mai aik dafa muhabbat se kaha Allah…ye Allah ka naam kabhi na kabhi usko jahannum se nikalne ka sabab banaiga”

وَلَذِكْرُ اللَّهِ أَكْبَرُ

[29:45] Allah ka zikr sabse bara amal hai

[Q: Qur’an, H: Hadith]

This entry was posted in Dhikr, Essentials of Deen, Shaykh Zulfiqar Ahmed [db], Tasawwuf Essentials, Tazkya Talks and tagged , , , , , , , , . Bookmark the permalink.

5 Responses to Remembrance – Reconnecting to Allah swt

  1. K Syed Ghouse says:

    As salamu alaikum wa rahmauthullah
    Please enlighten me more on the righteous path of Allah

    Thanks
    Syed Ghouse

  2. K Syed Ghouse says:

    very interesting

  3. Miss Baig says:

    SUB7AN ALLAH !!!!!!! JAZAK ALLAHU KUL KHAIR!

  4. Imran shaikh says:

    Masallah bahut khoob,..
    Mujhe koi aise cheez baato jise Mujhe Allah
    Ki Yaad tadapa aur tarika,Mujhe apni Jaan se bhi zayda Allah ki mohabbat chaiye…

Leave a reply to Miss Baig Cancel reply